dusra ishq kar nahin sakta
dūsrā 'ishq kar nahīñ saktā
yā'nī had se guzar nahīñ saktā
choT to gahrī dil pe khaa.ī magar
TuuT kar maiñ bikhar nahīñ saktā
mujh se naata jo toḌā ḳhushiyoñ ne
to ġhamoñ se maiñ Dar nahīñ saktā
tujh se ulfat hai aur rahegī sadā
ai sanam maiñ mukar nahīñ saktā
kuchh nahīñ mere paas ġham ke sivā
bin tire maiñ sañvar nahīñ saktā
mere dil meñ vo rahtā hai 'rahbar'
us ko be-ghar maiñ kar nahīñ saktā
dusra 'ishq kar nahin sakta
ya'ni had se guzar nahin sakta
choT to gahri dil pe khai magar
TuT kar main bikhar nahin sakta
mujh se nata jo toDa KHushiyon ne
to ghamon se main Dar nahin sakta
tujh se ulfat hai aur rahegi sada
ai sanam main mukar nahin sakta
kuchh nahin mere pas gham ke siwa
bin tere main sanwar nahin sakta
mere dil mein wo rahta hai 'rahbar'
us ko be-ghar main kar nahin sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.