ehsas bhare dil mein ek pyar ka sagar hai
ehsās bhare dil meñ ik pyaar kā sāgar hai
jo sab se chhupāyā thā vo tujh pe ujāgar hai
kahte haiñ sabhī mujh se tum dil meñ jagah de do
kaise maiñ unheñ de duuñ ye dil jo tirā ghar hai
ulfat kā ḳhazāna jo tū ne hī luTāyā thā
tū DhūñD zarā phir se tere hī vo andar hai
jo ġham se nahīñ pighlā vo dil hai bhalā kaise
jo pyaar ko na samjhe vo dil nahīñ patthar hai
jis ko thā kahā tū ne bāhoñ meñ chhupā lūñgā
vo terī 'sikhar' bhaTke kyoñ aaj yuuñ dar dar hai
ehsas bhare dil mein ek pyar ka sagar hai
jo sab se chhupaya tha wo tujh pe ujagar hai
kahte hain sabhi mujh se tum dil mein jagah de do
kaise main unhen de dun ye dil jo tera ghar hai
ulfat ka KHazana jo tu ne hi luTaya tha
tu DhunD zara phir se tere hi wo andar hai
jo gham se nahin pighla wo dil hai bhala kaise
jo pyar ko na samjhe wo dil nahin patthar hai
jis ko tha kaha tu ne bahon mein chhupa lunga
wo teri 'sikhar' bhaTke kyon aaj yun dar dar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.