aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas-e-be-talab ka hi ilzam do hamein

P P Srivastava Rind

ehsas-e-be-talab ka hi ilzam do hamein

P P Srivastava Rind

MORE BYP P Srivastava Rind

    ehsās-e-be-talab ilzām do hameñ

    rusvā.iyoñ bhiiḌ meñ in.aam do hameñ

    ḳhuddāriyoñ dhuup meñ ārām do hameñ

    sauġhāt meñ gardish-e-ayyām do hameñ

    ehsās-e-lams jism is bhiiḌ meñ kahāñ

    kaalī ruteñ gunāh paiġhām do hameñ

    gum-sum hisār-e-rabt meñ hai lamha-e-azāb

    ḳhvāhish karb fitrat-e-badnām do hameñ

    be-zāriyoñ ko dasht-e-nafas meñ sameT kar

    dard-āshnā junūn ke ahkām do hameñ

    dasht-e-sarāb-e-sañg hai maazī iztirāb

    gar ho sake to mustaqil ārām do hameñ

    sauġhāt meñ milī hai mujhe rā.egāñ shafaq

    kis ne kahā hai is bhī ilzām do hameñ

    yādoñ ik hujūm hai ai 'rind' aur ham

    fursat nahīñ hai in dinoñ ārām do hameñ

    ehsas-e-be-talab ka hi ilzam do hamein

    ruswaiyon ki bhiD mein inam do hamein

    KHuddariyon ki dhup mein aaram do hamein

    saughat mein hi gardish-e-ayyam do hamein

    ehsas-e-lams jism ki is bhiD mein kahan

    kali ruten gunah ka paigham do hamein

    gum-sum hisar-e-rabt mein hai lamha-e-azab

    KHwahish ka karb fitrat-e-badnam do hamein

    be-zariyon ko dasht-e-nafas mein sameT kar

    dard-ashna junun ke ahkaam do hamein

    dasht-e-sarab-e-sang hai mazi ka iztirab

    gar ho sake to mustaqil aaram do hamein

    saughat mein mili hai mujhe raegan shafaq

    kis ne kaha hai is ka bhi ilzam do hamein

    yaadon ka ek hujum hai ai 'rind' aur hum

    fursat nahin hai in dinon aaram do hamein

    Source:

    Bujhte Lamhon ka Dhuaan (Pg. 100)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now