Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas ka wasil-e-izhaar hai ghazal

Barqi Azmi

ehsas ka wasil-e-izhaar hai ghazal

Barqi Azmi

MORE BYBarqi Azmi

    ehsās vasīl-e-iz.hār hai ġhazal

    ā.īna-dār-e-nudrat-e-afkār hai ġhazal

    urdu adab ko jis pe hamesha rahegā naaz

    iz.hār-e-fikr-o-fan vo me.aar hai ġhazal

    guldasta-e-adab gul-e-sar-sabd hai ye

    haiñ jis meñ gul-ezār vo gulzār hai ġhazal

    aatī hai jis vasīle se dil se zabān par

    ḳhvābīda hasratoñ vo iz.hār hai ġhazal

    urdu zabān dil hai ġhazal us jaan hai

    nau-e-bashar mūnis-o-ġham-ḳhvār hai ġhazal

    pahle hadīs-e-dilbarī kahte the is ko log

    ab tarjumān-e-kūcha-o-bāzār hai ġhazal

    pesh-e-nazar agar ho 'valī'-dakkanī tarz

    mashshāta-e-arūs-e-trahdār hai ġhazal

    hai 'mīr' o 'zauq' o 'ġhālib' o 'momin' ko jo aziiz

    vo dil-navāz jalva-gah-e-yār hai ġhazal

    'barqī' ke fikr-o-fan muraqqa.a isī meñ hai

    'barq'-āzmī se matla-e-anvār hai ġhazal

    ehsas ka wasil-e-izhaar hai ghazal

    aaina-dar-e-nudrat-e-afkar hai ghazal

    urdu adab ko jis pe hamesha rahega naz

    izhaar-e-fikr-o-fan ka wo mear hai ghazal

    guldasta-e-adab ka gul-e-sar-sabd hai ye

    hain jis mein gul-ezar wo gulzar hai ghazal

    aati hai jis wasile se dil se zaban par

    KHwabida hasraton ka wo izhaar hai ghazal

    urdu zaban dil hai ghazal us ki jaan hai

    nau-e-bashar ki munis-o-gham-KHwar hai ghazal

    pahle hadis-e-dilbari kahte the is ko log

    ab tarjuman-e-kucha-o-bazar hai ghazal

    pesh-e-nazar agar ho 'wali'-dakkani ka tarz

    mashshata-e-arus-e-trahdar hai ghazal

    hai 'mir' o 'zauq' o 'ghaalib' o 'momin' ko jo aziz

    wo dil-nawaz jalwa-gah-e-yar hai ghazal

    'barqi' ke fikr-o-fan ka muraqqa isi mein hai

    'barq'-azmi se matla-e-anwar hai ghazal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now