Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas ki diwar gira di hai chala ja

Shozeb Kashir

ehsas ki diwar gira di hai chala ja

Shozeb Kashir

MORE BYShozeb Kashir

    ehsās dīvār girā hai chalā

    jaane ke liye yaar jagah hai chalā

    ai qais-numā shaḳhs yahāñ kuchh nahīñ terā

    tujh naam sahrā meñ munādī hai chalā

    duniyā to chalo ġhair thī shikva nahīñ us se

    ne bhī to auqāt dikhā hai chalā

    koī bahāna tire pairoñ se na lipTe

    dīvār se tasvīr haTā hai chalā

    yak-tarfa mohabbat ḳhasārā hai muqaddar

    tujh ḳhvāb ta.abīr batā hai chalā

    ham aise faqīroñ meñ nahīñ māda-parastī

    terā to miyāñ sher bhī maadī hai chalā

    hai kaun rukāvaT jo tujhe rok rahī hai

    maiñ ne to mirī zaat bhī Dhā hai chalā

    is shahr ke logoñ meñ nahīñ quvvat-e-bardāsht

    ye shahr to saarā fasādī hai chalā

    dastak ke liye uTThā huā haath na girtā

    ḳhāmoshī ne ta.azīr sunā hai chalā

    kuchh 'jaun' qabīle se nahīñ terā ta.alluq

    har laḌkī yahāñ fāriha-zādī hai chalā

    jaanā tirī fitrat hai bulānā mirī qismat

    to aa ke chale jaane aadī hai chalā

    lagtā hai kābul meñ nayā aayā hai pyāre

    afġhān bachcha bhī jihādī hai chalā

    ai mom-badan terā guzārā nahīñ mumkin

    ye aag meñ jaltī huī vaadī hai chalā

    afsos bahut der se aayā hai 'kāshir'

    is pāñch may ko mirī shādī hai chalā

    ehsas ki diwar gira di hai chala ja

    jaane ke liye yar jagah di hai chala ja

    ai qais-numa shaKHs yahan kuchh nahin tera

    tujh nam ki sahra mein munadi hai chala ja

    duniya to chalo ghair thi shikwa nahin us se

    tu ne bhi to auqat dikha di hai chala ja

    ta koi bahana tere pairon se na lipTe

    diwar se taswir haTa di hai chala ja

    yak-tarfa mohabbat ka KHasara hai muqaddar

    tujh KHwab ki tabir bata di hai chala ja

    hum aise faqiron mein nahin mada-parasti

    tera to miyan sher bhi madi hai chala ja

    hai kaun rukawaT jo tujhe rok rahi hai

    main ne to meri zat bhi Dha di hai chala ja

    is shahr ke logon mein nahin quwwat-e-bardasht

    ye shahr to sara hi fasadi hai chala ja

    dastak ke liye uTTha hua hath na girta

    KHamoshi ne tazir suna di hai chala ja

    kuchh 'jaun' qabile se nahin tera talluq

    har laDki yahan fariha-zadi hai chala ja

    jaana teri fitrat hai bulana meri qismat

    to aa ke chale jaane ka aadi hai chala ja

    lagta hai tu kabul mein naya aaya hai pyare

    afghan ka bachcha bhi jihadi hai chala ja

    ai mom-badan tera guzara nahin mumkin

    ye aag mein jalti hui wadi hai chala ja

    afsos bahut der se aaya hai tu 'kashir'

    is panch may ko meri shadi hai chala ja

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now