Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas ki manzil se guzar jaega aaKHir

Ahmad Ziya

ehsas ki manzil se guzar jaega aaKHir

Ahmad Ziya

MORE BYAhmad Ziya

    ehsās manzil se guzar jā.egā āḳhir

    mujh meñ hai jo insān vo mar jā.egā āḳhir

    ik din to tirī raah meñ pathrā.eñgī āñkheñ

    ye jism bhī rezoñ meñ bikhar jā.egā āḳhir

    ai dost yahāñ arz-e-hunar jaañ ziyāñ hai

    gahre samundar meñ utar jā.egā āḳhir

    maiñ rañg-e-sahar tere liye DhūñD ke lā.ūñ

    shaam ke mele meñ kidhar jā.egā āḳhir

    ehsas ki manzil se guzar jaega aaKHir

    mujh mein hai jo insan wo mar jaega aaKHir

    ek din to teri rah mein pathraengi aankhen

    ye jism bhi rezon mein bikhar jaega aaKHir

    ai dost yahan arz-e-hunar jaan ka ziyan hai

    tu gahre samundar mein utar jaega aaKHir

    main rang-e-sahar tere liye DhunD ke laun

    tu sham ke mele mein kidhar jaega aaKHir

    Source:

    Hawa Ki Tahreer (Pg. 30)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now