Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo

Anwar Minai

ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo

Anwar Minai

MORE BYAnwar Minai

    ehsās ragoñ meñ utarne lagā hai vo

    ab buuñd buuñd mujh meñ bikharne lagā hai vo

    gumnāmiyoñ andhī guphā.eñ hoñ nauha-ḳhvāñ

    mānind-e-āftāb ubharne lagā hai vo

    kaise kahūñ ki ġham huā ḳhvāboñ bhiiḌ meñ

    zaḳhmoñ indimāl to karne lagā hai vo

    ik harf-e-ātishīñ bhī nahīñ us ke hoñT par

    lagtā hai lahza lahza ThiThurne lagā hai vo

    imkān hadoñ se guzarne ke ba.ad kyuuñ

    ab reza reza ho ke bikharne lagā hai vo

    utrā thā merī ruuh ke rauzan se jo kabhī

    ghuT ghuT ke mere jism meñ marne lagā hai vo

    ehsas ki ragon mein utarne laga hai wo

    ab bund bund mujh mein bikharne laga hai wo

    gumnamiyon ki andhi guphaen hon nauha-KHwan

    manind-e-aftab ubharne laga hai wo

    kaise kahun ki gham hua KHwabon ki bhiD mein

    zaKHmon ka indimal to karne laga hai wo

    ek harf-e-atishin bhi nahin us ke honT par

    lagta hai lahza lahza ThiThurne laga hai wo

    imkan ki hadon se guzarne ke baad kyun

    ab reza reza ho ke bikharne laga hai wo

    utra tha meri ruh ke rauzan se jo kabhi

    ghuT ghuT ke mere jism mein marne laga hai wo

    Source:

    Roshni Ke Phool (Pg. 67)

    • Author: Anwar Minai
      • Edition: 1986
      • Publisher: Maktaba Jamia Ltd. Urdu Bazar Jamia Nagar, Delhi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now