ehsas mein gundhi hui ek sham hi rah jae
ehsās meñ gūñdhī huī ik shaam hī rah jaa.e
kaafī hai mujhe terā agar naam hī rah jaa.e
kuchh ajnabī rastoñ se charāġhoñ kī thakan kā
be-nām sā rishta hai to be-nām hī rah jaa.e
vo DhūñDte haiñ lafz-o-ma'ānī meñ ta'alluq
she'roñ kā taqāza hai ki ib.hām hī rah jaa.e
ehsas mein gundhi hui ek sham hi rah jae
kafi hai mujhe tera agar nam hi rah jae
kuchh ajnabi raston se charaghon ki thakan ka
be-nam sa rishta hai to be-nam hi rah jae
wo DhunDte hain lafz-o-ma'ani mein ta'alluq
she'ron ka taqaza hai ki ibham hi rah jae
- Book : Ishq (Pg. 138)
- Author :Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.