Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ehtiram-e-gardish-e-ayyam karna hi paDa

Akhtar Siddiqui

ehtiram-e-gardish-e-ayyam karna hi paDa

Akhtar Siddiqui

MORE BYAkhtar Siddiqui

    ehtirām-e-gardish-e-ayyām karnā paḌā

    ġham ġhalat karne ko shaġhl-e-jām karnā paḌā

    muztarib rakhtā thā pal pal karb-e-ehsās-e-ziyāñ

    āḳhir is muuzī ko zer-e-dām karnā paḌā

    saath detī kab talak purkhoñ chhoḌī jā.idād

    ek ik karke sabhī nīlām karnā paḌā

    pai-ba-pai nākāmiyoñ karb thā sohān-e-rūh

    qalb ko begāna-e-ālām karnā paḌā

    mehrbāñ kahnā paḌā 'aḳhtar' kisī be-mehr ko

    jo nahīñ karnā thā vo bhī kaam karnā paḌā

    ehtiram-e-gardish-e-ayyam karna hi paDa

    gham ghalat karne ko shaghl-e-jam karna hi paDa

    muztarib rakhta tha pal pal karb-e-ehsas-e-ziyan

    aaKHir is muzi ko zer-e-dam karna hi paDa

    sath deti kab talak purkhon ki chhoDi jaidad

    ek ek karke sabhi nilam karna hi paDa

    pai-ba-pai nakaamiyon ka karb tha sohan-e-ruh

    qalb ko begana-e-alam karna hi paDa

    mehrban kahna paDa 'aKHtar' kisi be-mehr ko

    jo nahin karna tha wo bhi kaam karna hi paDa

    Source:

    Be Tesha (Pg. 38)

    • Author: Akhtar Siddiqui
      • Publisher: Rang Publications, Dhanbad
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now