Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aalam usko rota hi raha

Shah Akbar Danapuri

ek aalam usko rota hi raha

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ek aalam us ko rotā rahā

    'akbar' apnī niiñd sotā rahā

    maiñ na samjhā sard-o-garm-e-rozgār

    umr bhar in ko samotā rahā

    mere armānoñ kasrat dekhnā

    āsmāñ ko uzr hotā rahā

    nafā aur nuqsān-e-hastī kyā batā.ūñ

    is qadar paayā ki khotā rahā

    mere dil meñ un ke mizhgāñ ḳhayāl

    ek barchhī chubhotā rahā

    hirs-e-jannat din-ba-din baḌhtī ga.ī

    muft zāhid umr khotā rahā

    ham umīd-e-vasl par jiite rahe

    ahd puurā un hotā rahā

    kūcha-e-saffāk kab ḳhālī rahā

    ik na ik ḳhuun hotā rahā

    jo hunar 'akbar' ne yaañ paidā kiyā

    āsmān us ko Dubotā rahā

    ek aalam us ko rota hi raha

    'akbar' apni nind sota hi raha

    main na samjha sard-o-garm-e-rozgar

    umr bhar in ko samota hi raha

    mere armanon ki kasrat dekhna

    aasman ko uzr hota hi raha

    nafa aur nuqsan-e-hasti kya bataun

    is qadar paya ki khota hi raha

    mere dil mein un ke mizhgan ka KHayal

    ek barchhi si chubhota hi raha

    hirs-e-jannat din-ba-din baDhti gai

    muft zahid umr khota hi raha

    hum umid-e-wasl par jite rahe

    ahd pura un ka hota hi raha

    kucha-e-saffak kab KHali raha

    ek na ek ka KHun hota hi raha

    jo hunar 'akbar' ne yan paida kiya

    aasman us ko Dubota hi raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now