aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek aashna aksar pas se guzarta hai

Usha Bhadoriya

ek aashna aksar pas se guzarta hai

Usha Bhadoriya

MORE BYUsha Bhadoriya

    ek āshnā aksar paas se guzartā hai

    mujh pe merī sachchā.ī āshkār kartā hai

    kis qadar haTelā hai terā be-zabāñ saaya

    jism tarah aksar ruuh meñ utartā hai

    aap kis liye mujh ko dekhte haiñ hairat se

    aadmī mohabbat meñ kuchh bhī kar guzartā hai

    kyā ḳhabar ye bastī āñdhiyoñ meñ uḌ jaa.e

    ik parinda par apne kholne se Dartā hai

    tere naam ke saa.e rakh ke apne hoñToñ par

    sirf maiñ bikhartī huuñ kahāñ bikhartā hai

    ik qarīb rishta phertā hai jab nazreñ

    aadmī nahīñ martā e'tibār martā hai

    be-zabāñ lakīreñ haiñ nā-murād ḳhāke haiñ

    dekhnā hai ab in meñ kaun rang bhartā hai

    ḳhauf qurbatoñ bhī ḳhauf fāsloñ bhī

    zindagī har lamha Dūbtā ubhartā hai

    jab tumhāre baare meñ sochtī huuñ maiñ 'ūshā'

    āsmān se dil meñ nuur utartā hai

    ek aashna aksar pas se guzarta hai

    mujh pe meri sachchai aashkar karta hai

    kis qadar haTela hai tera be-zaban saya

    jism ki tarah aksar ruh mein utarta hai

    aap kis liye mujh ko dekhte hain hairat se

    aadmi mohabbat mein kuchh bhi kar guzarta hai

    kya KHabar ye basti hi aandhiyon mein uD jae

    ek parinda par apne kholne se Darta hai

    tere nam ke sae rakh ke apne honTon par

    sirf main bikharti hun tu kahan bikharta hai

    ek qarib ka rishta pherta hai jab nazren

    aadmi nahin marta e'tibar marta hai

    be-zaban lakiren hain na-murad KHake hain

    dekhna hai ab in mein kaun rang bharta hai

    KHauf qurbaton ka bhi KHauf faslon ka bhi

    zindagi ka har lamha Dubta ubharta hai

    jab tumhaare bare mein sochti hun main 'usha'

    aasman se dil mein nur sa utarta hai

    Source:

    Sada-e-ehsaas (Pg. 48)

    • Author: Usha Bhadoriya
      • Edition: 2016
      • Publisher: C/o Lt. CI. S. Bhadoria, MG& G Area Provost Unil Homi, Bhabha Road, Colaba Military Station, Near Navy Nagar, Colaba Mumbai-100005
      • Year of Publication: 2016
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now