ek charagh jala rakhna
ek charāġh jalā rakhnā
dhyān musāfir kā rakhnā
dhyān ke ujle tāqoñ meñ
āñkheñ roz jalā rakhnā
nek shagun kī chaukhaT par
aag aur ḳhushbū lā rakhnā
chuTkī bhar sandal sā ḳhvāb
thālī bhar aashā rakhnā
siine meñ aañsū sā dil
āñkhoñ meñ dariyā rakhnā
sang-zanoñ kī bastī meñ
ā.īna chamkā rakhnā
phuul sā tan aur dhuup sā ruup
kis ke liye bachā rakhnā
ek hathelī par qindīl
ek pe harf-e-du'ā rakhnā
der talak ḳhushbū denā
duur talak chhāyā rakhnā
ek charagh jala rakhna
dhyan musafir ka rakhna
dhyan ke ujle taqon mein
aankhen roz jala rakhna
nek shagun ki chaukhaT par
aag aur KHushbu la rakhna
chuTki bhar sandal sa KHwab
thaali bhar aasha rakhna
sine mein aansu sa dil
aankhon mein dariya rakhna
sang-zanon ki basti mein
aaina chamka rakhna
phul sa tan aur dhup sa rup
kis ke liye bacha rakhna
ek hatheli par qindil
ek pe harf-e-du'a rakhna
der talak KHushbu dena
dur talak chhaya rakhna
- Book : Ek Diya Aur Ek Phool (Pg. 43)
- Author : Ishrat Afreen
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.