ek dariya hai jis ki rawani tha main
ek dariyā hai jis kī ravānī thā maiñ
haañ kisī daur meñ bahtā paanī thā maiñ
apnī āzādiyoñ se jiyā maiñ sadā
go tumhārī tarah hī makānī thā maiñ
maiñ bhī apne liye kab haqīqat banā
dūsroñ ke liye to kahānī thā maiñ
ye jo zardī hai ab vasl kī den hai
mausam-e-hijr meñ rang dhānī thā maiñ
ḳhaak vaale mujhe dekhte hī na the
vo samajhte rahe āsmānī thā maiñ
is se pahle bhī do log hī the vahāñ
ek avval thā vo ek 'sānī' thā maiñ
ek dariya hai jis ki rawani tha main
han kisi daur mein bahta pani tha main
apni aazadiyon se jiya main sada
go tumhaari tarah hi makani tha main
main bhi apne liye kab haqiqat bana
dusron ke liye to kahani tha main
ye jo zardi hai ab wasl ki den hai
mausam-e-hijr mein rang dhani tha main
KHak wale mujhe dekhte hi na the
wo samajhte rahe aasmani tha main
is se pahle bhi do log hi the wahan
ek awwal tha wo ek 'sani' tha main
- Book : Maujood Ki Nisbat Se (Pg. 76)
- Author : Mahendra Kumar Sani
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.