ek dhoka hai ye shab-rang sawera kya hai
ek dhokā hai ye shab-rañg saverā kyā hai
ye ujālā hai ujālā to añdherā kyā hai
tū mire ġham meñ na hañstī huī āñkhoñ ko rulā
maiñ to mar mar ke bhī jī saktā huuñ merā kyā hai
zarre zarre meñ dhaḌaktī hai koī shai jaise
tirī nazroñ ne fazāoñ meñ bikherā kyā hai
dard-e-duniyā kī taḌap dil meñ mire rahne de
tū to āñkhoñ meñ bhī rah saktī hai terā kyā hai
tañg hai 'shād' mire zauq kī vus.at ke liye
halqa-e-zulf hai āfāq kā gherā kyā hai
ek dhoka hai ye shab-rang sawera kya hai
ye ujala hai ujala to andhera kya hai
tu mere gham mein na hansti hui aankhon ko rula
main to mar mar ke bhi ji sakta hun mera kya hai
zarre zarre mein dhaDakti hai koi shai jaise
teri nazron ne fazaon mein bikhera kya hai
dard-e-duniya ki taDap dil mein mere rahne de
tu to aankhon mein bhi rah sakti hai tera kya hai
tang hai 'shad' mere zauq ki wusat ke liye
halqa-e-zulf hai aafaq ka ghera kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.