aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek diwane ko itna hi sharaf kya kam hai

Aale Ahmad Suroor

ek diwane ko itna hi sharaf kya kam hai

Aale Ahmad Suroor

MORE BYAale Ahmad Suroor

    ek dīvāne ko itnā sharaf kyā kam hai

    zulf o zanjīr se yak-gūna shaġhaf kyā kam hai

    shauq ke haath bhalā chāñd ko chhū sakte haiñ

    chāñdnī dil meñ rahe ye bhī sharaf kyā kam hai

    kaun is daur meñ kartā hai junūñ se saudā

    tere dīvānoñ TuuTī huī saf kyā kam hai

    aag bhaḌkī jo idhar bhī to bachegī kyā shai

    shola-e-shauq lau ek taraf kyā kam hai

    maiñ ne har mauj ko mauj-e-guzarāñ samjhā hai

    varna tūfānoñ ruḳh merī taraf kyā kam hai

    kaalī rātoñ meñ ujāle se mohabbat hai

    subah bazm meñ apnā ye sharaf kyā kam hai

    ek diwane ko itna hi sharaf kya kam hai

    zulf o zanjir se yak-guna shaghaf kya kam hai

    shauq ke hath bhala chand ko chhu sakte hain

    chandni dil mein rahe ye bhi sharaf kya kam hai

    kaun is daur mein karta hai junun se sauda

    tere diwanon ki TuTi hui saf kya kam hai

    aag bhaDki jo idhar bhi to bachegi kya shai

    shola-e-shauq ki lau ek taraf kya kam hai

    main ne har mauj ko mauj-e-guzaran samjha hai

    warna tufanon ka ruKH meri taraf kya kam hai

    kali raaton mein ujale se mohabbat ki hai

    subah ki bazm mein apna ye sharaf kya kam hai

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 88)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now