ek dil be-qarar aur duniya
ek dil be-qarār aur duniyā
har nafas sho'la-bār aur duniyā
zindagī kī yahī haqīqat hai
aarzū intizār aur duniyā
kar rahe haiñ zamīñ ko bechāra
aag gard-o-ġhubār aur duniyā
kaise paa.eñ sukūn-e-qalb-o-nazar
ranj-o-ġham be-shumār aur duniyā
kis tarah vasl-e-yār ho mumkin
ḳhvāhishoñ kā hisār aur duniyā
kaun suljhā.e ziist kī uljhan
ek maiñ bāda-ḳhvār aur duniyā
chhoḌ ḳhud par 'ḳhayāl' itrānā
chand lamhe udhār aur duniyā
ek dil be-qarar aur duniya
har nafas sho'la-bar aur duniya
zindagi ki yahi haqiqat hai
aarzu intizar aur duniya
kar rahe hain zamin ko bechaara
aag gard-o-ghubar aur duniya
kaise paen sukun-e-qalb-o-nazar
ranj-o-gham be-shumar aur duniya
kis tarah wasl-e-yar ho mumkin
KHwahishon ka hisar aur duniya
kaun suljhae zist ki uljhan
ek main baada-KHwar aur duniya
chhoD KHud par 'KHayal' itrana
chand lamhe udhaar aur duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.