Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek dilkash zahr se labrez paimane ka nam

Abdul Hamid Adam

ek dilkash zahr se labrez paimane ka nam

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    ek dilkash zahr se labrez paimāne naam

    zindagī kyā hai ḳhushī se jal ke mar jaane naam

    aql hai bil-maslahat be-ai.tmādi ravish

    ishq hai be-sāḳhta īmān le aane naam

    āgahī kyā hai musalsal ḳhud-farebī chalan

    raushnī kyā hai fareb mustaqil khāne naam

    ḳhāmushī uryānī-e-mafhūm tābish-kada

    guftugū māshūq ko malbūs pahnāne naam

    ab mujhe dār-o-rasan samt muḌne dījiye

    aap ne ḳhud to chunā thā mere afsāne naam

    ḳhvāhishoñ ibtidā ġhunche chaTaḳhne sadā

    ḳhvāhishoñ intihā phūloñ ke murjhāne naam

    dost-dārī ye pairāya bhī kyā dilchasp hai

    le rahe haiñ sāmne mere vo begāne naam

    haiñ 'adam' ke zikr par kyoñ aap itne pur-ġhazab

    sham.a ke hamrāh aa jaatā hai parvāne naam

    ek dilkash zahr se labrez paimane ka nam

    zindagi kya hai KHushi se jal ke mar jaane ka nam

    aql hai bil-maslahat be-aitmadi ki rawish

    ishq hai be-saKHta iman le aane ka nam

    aagahi kya hai musalsal KHud-farebi ka chalan

    raushni kya hai fareb mustaqil khane ka nam

    KHamushi uryani-e-mafhum ka tabish-kada

    guftugu mashuq ko malbus pahnane ka nam

    ab mujhe dar-o-rasan ki samt muDne dijiye

    aap ne KHud to chuna tha mere afsane ka nam

    KHwahishon ki ibtida ghunche chaTaKHne ki sada

    KHwahishon ki intiha phulon ke murjhane ka nam

    dost-dari ka ye pairaya bhi kya dilchasp hai

    le rahe hain samne mere wo begane ka nam

    hain 'adam' ke zikr par kyon aap itne pur-ghazab

    shama ke hamrah aa jata hai parwane ka nam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now