Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek din raat ki sohbat mein nahin hote sharik

Insha Allah Khan Insha

ek din raat ki sohbat mein nahin hote sharik

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    ek din raat sohbat meñ nahīñ hote sharīk

    ham ko kyā fā.eda gar aap bahut haiñ nazdīk

    ab to Tuk ho ke khaḌe baat hamārī sun lo

    raat hai kūcha-o-bāzār paḌe haiñ tārīk

    paan jo haath se kal ġhair ke ne khāyā

    ke lohū ko ġharaz ghūñT rahe ham juuñ piik

    duur ho vādī-e-majnūñ se nikal ai vahshat

    kis vasīle se milī tujh ko jahāñ tamlīk

    vādī-e-ishq meñ 'inshā' sambhal kar jaatā

    haañ ḳhabar-dār ki ye raah bahut hai tārīk

    ek din raat ki sohbat mein nahin hote sharik

    hum ko kya faeda gar aap bahut hain nazdik

    ab to Tuk ho ke khaDe baat hamari sun lo

    raat hai kucha-o-bazar paDe hain tarik

    pan jo hath se kal ghair ke tu ne khaya

    pi ke lohu ko gharaz ghunT rahe hum jun pik

    dur ho wadi-e-majnun se nikal ai wahshat

    kis wasile se mili tujh ko jahan ki tamlik

    wadi-e-ishq mein 'insha' tu sambhal kar jata

    han KHabar-dar ki ye rah bahut hai tarik

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 77)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now