Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek do ashk-e-nadamat nahin paida karte

Sayyad Musa Kazim

ek do ashk-e-nadamat nahin paida karte

Sayyad Musa Kazim

MORE BYSayyad Musa Kazim

    ek do ashk-e-nadāmat nahīñ paidā karte

    pahlī baar kahāñ ghaas harī aatī hai

    sochtā huuñ ki kise dekhūñ kise na dekhūñ

    niiñd āñkhoñ pe ka.ī ḳhvāb dharī aatī hai

    ishq aag pe ye tel chhiḌaktī hai miyāñ

    ḳhushk āñkhoñ se jo ashkoñ laḌī aatī hai

    ashk jo chāñd ke chehre pe bhī girte haiñ kabhī

    zindagī ek tasavvur se jilā paatī hai

    ḳhushk mausam jo ik baar kiyā thā shikva

    tab se milne mujhe har saal murrē aatī hai

    pahle ik umr paristān galiyāñ nāpīñ

    phir mire haath meñ jaadū chhaḌī aatī hai

    ho to saktī hai mayassar mujhe ḳhil.at 'mūsā'

    kyā karūñ biich meñ daryūza-garī aatī hai

    ek do ashk-e-nadamat nahin paida karte

    pahli hi bar kahan ghas hari aati hai

    sochta hun ki kise dekhun kise na dekhun

    nind aankhon pe kai KHwab dhari aati hai

    ishq ki aag pe ye tel chhiDakti hai miyan

    KHushk aankhon se jo ashkon ki laDi aati hai

    ashk jo chand ke chehre pe bhi girte hain kabhi

    zindagi ek tasawwur se jila pati hai

    KHushk mausam ka jo ek bar kiya tha shikwa

    tab se milne mujhe har sal murree aati hai

    pahle ek umr paristan ki galiyan napin

    phir mere hath mein jadu ki chhaDi aati hai

    ho to sakti hai mayassar mujhe KHilat 'musa'

    kya karun bich mein daryuza-gari aati hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now