ek do hi nahin sabhi chehre
ek do hī nahīñ sabhī chehre
hoñge tabdīl mausamī chehre
bad-nazar taaki chhū sake na unheñ
oḌh lete haiñ be-ruḳhī chehre
aag kitnī jigar meñ rakhte haiñ
bhole-bhāle se shabnamī chehre
bol dete haiñ bin kahe sab kuchh
dil kī karte haiñ muḳhbirī chehre
zindagī ke sabaq sikhāte haiñ
saḳht lahje meñ maḳhmalī chehre
ek pahchān ke liye jag meñ
kitne rakhtā hai aadmī chehre
ek do hi nahin sabhi chehre
honge tabdil mausami chehre
bad-nazar taki chhu sake na unhen
oDh lete hain be-ruKHi chehre
aag kitni jigar mein rakhte hain
bhole-bhaale se shabnami chehre
bol dete hain bin kahe sab kuchh
dil ki karte hain muKHbiri chehre
zindagi ke sabaq sikhate hain
saKHt lahje mein maKHmali chehre
ek pahchan ke liye jag mein
kitne rakhta hai aadmi chehre
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.