Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek duniya mast ek aalam KHarab

Natiq Lakhnavi

ek duniya mast ek aalam KHarab

Natiq Lakhnavi

MORE BYNatiq Lakhnavi

    ek duniyā mast ik aalam ḳharāb

    kis ne taqsīm āñkhoñ se sharāb

    ik qayāmat thā vo husn-e-lā-javāb

    ab qayāmat par qayāmat hai shabāb

    rū-e-sāqī matla-e-nūr-e-sharāb

    āftāb aamad dalīl-e-āftāb

    ishq ne kaunain par Daalī nazar

    husn par Thahrī nigāh-e-intiḳhāb

    ishq se behtar nahīñ koī gunāh

    hijr se bad-tar nahīñ koī azaab

    ishq-e-nek-anjām ne muzhda diyā

    terī nākāmī hai 'nātiq' kāmyāb

    ek duniya mast ek aalam KHarab

    kis ne ki taqsim aankhon se sharab

    ek qayamat tha wo husn-e-la-jawab

    ab qayamat par qayamat hai shabab

    ru-e-saqi matla-e-nur-e-sharab

    aaftab aamad dalil-e-aftab

    ishq ne kaunain par Dali nazar

    husn par Thahri nigah-e-intiKHab

    ishq se behtar nahin koi gunah

    hijr se bad-tar nahin koi azab

    ishq-e-nek-anjam ne muzhda diya

    teri nakaami hai 'natiq' kaamyab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now