Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ek qatra us ka shoala-fishan sa hai

Takht Singh

ek ek qatra us ka shoala-fishan sa hai

Takht Singh

MORE BYTakht Singh

    ek ek qatra us shoa.la-fishāñ hai

    mauj-e-sabā pe reg-e-ravāñ gumāñ hai

    shāyad yahī hai hāsil-e-umr-e-gurez-pā

    phailā huā dimāġh meñ har-sū dhuāñ hai

    phāñkī hai jab se maiñ ne tire ruup dhanak

    ehsās rañg-o-nūr sail-e-ravāñ hai

    nanhā taar ufuq pe jo ab tak hai zau-fishāñ

    tārīkī-e-hayāt pe bār-e-garāñ hai

    shab-bhar jahāñ pighaltī rahī chāñd 'zamīr'

    us shāḳh pe ba-shakl-e-dil ab tak nishāñ hai

    ek ek qatra us ka shoala-fishan sa hai

    mauj-e-saba pe reg-e-rawan ka guman sa hai

    shayad yahi hai hasil-e-umr-e-gurez-pa

    phaila hua dimagh mein har-su dhuan sa hai

    phanki hai jab se main ne tere rup ki dhanak

    ehsas rang-o-nur ka sail-e-rawan sa hai

    nanha sa tar ufuq pe jo ab tak hai zau-fishan

    tariki-e-hayat pe bar-e-garan sa hai

    shab-bhar jahan pighalti rahi chand si 'zamir'

    us shaKH pe ba-shakl-e-dil ab tak nishan sa hai

    Source:

    Shab-e-Uriyan (Pg. 102)

    • Author: Takht Singh
      • Edition: 1968
      • Publisher: Charanjeet Laal
      • Year of Publication: 1968
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now