aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hi ghar mein rakh diye kis ne juda juda charagh

Zia Faruqi

ek hi ghar mein rakh diye kis ne juda juda charagh

Zia Faruqi

MORE BYZia Faruqi

  ek ghar meñ rakh diye kis ne judā judā charāġh

  tere liye jalā charāġh mere liye bujhā charāġh

  ishq-o-talab raah meñ bād-e-havas bhī tez thī

  maiñ ne jalāyā rāt-bhar kar ke ḳhudā ḳhudā charāġh

  sub.h huī to āftāb saarī bisāt ulaT gayā

  raat usī maqām par raunaq-e-bazm thā charāġh

  vaqt-e-sahar jo pūchh le koī to kyā batā.ūñgā

  tāq-e-junūñ pe rāt-bhar kis ke liye jalā charāġh

  kaun thā mere rū-ba-rū ālam-e-vajd-o-hāl meñ

  kis nigāh-e-lutf se ban gayā aa.ina charāġh

  vādī-e-jāñ meñ daf.atan kaisī ye raushnī huī

  kis nazar ne kar diye manzar-e-shab meñ charāġh

  koī ḳhabar na sakī jis havā-e-tund bhī

  rakhte haiñ is maqām saarā atā-patā charāġh

  taḳhtī-e-shab pe likh diyā vaqt ne ye bhī vāqi.a

  zard havā ke sāmne sīna-sipar rahā charāġh

  mujh ko 'ziyā' vo chāhiye ghar jo mirā ujaal de

  merā na mas.ala qamar merā na mudda.ā charāġh

  ek hi ghar mein rakh diye kis ne juda juda charagh

  tere liye jala charagh mere liye bujha charagh

  ishq-o-talab ki rah mein baad-e-hawas bhi tez thi

  main ne jalaya raat-bhar kar ke KHuda KHuda charagh

  subh hui to aaftab sari bisat ulaT gaya

  raat usi maqam par raunaq-e-bazm tha charagh

  waqt-e-sahar jo puchh le koi to kya bataunga

  taq-e-junun pe raat-bhar kis ke liye jala charagh

  kaun tha mere ru-ba-ru aalam-e-wajd-o-haal mein

  kis ki nigah-e-lutf se ban gaya aaina charagh

  wadi-e-jaan mein dafatan kaisi ye raushni hui

  kis ki nazar ne kar diye manzar-e-shab mein wa charagh

  koi KHabar na la saki jis ki hawa-e-tund bhi

  rakhte hain is maqam ka sara ata-pata charagh

  taKHti-e-shab pe likh diya waqt ne ye bhi waqia

  zard hawa ke samne sina-sipar raha charagh

  mujh ko 'ziya' wo chahiye ghar jo mera ujal de

  mera na masala qamar mera na muddaa charagh

  Source:

  Pas-e-Gard-e-Safar (Pg. 58)

  • Author: Zia Farooqui
   • Edition: 2009
   • Publisher: Educational Publishing House
   • Year of Publication: 2009
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

  GET YOUR PASS
  Speak Now