Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hi man ki sab auladen mano jhagDa karti hain

Anant Gupta

ek hi man ki sab auladen mano jhagDa karti hain

Anant Gupta

MORE BYAnant Gupta

    ek maañ sab aulādeñ maano jhagḌā kartī haiñ

    shahr-e-dil galiyoñ meñ jab yādeñ khelā kartī haiñ

    dard yakāyak tham jaatā hai mad.hoshī chhā jaatī hai

    sāñseñ nikal jab mere badan se tujh ko chūmā kartī haiñ

    sūraj chāñd kināre sāgar bechainī ke maare haiñ

    kis bechainī meñ lahreñ karvaT badlā kartī haiñ

    dekhne vaale chhoḌ ga.e sab apnī nazreñ manzar pe

    ya.anī ham sab āñkheñ bas manzar mailā kartī haiñ

    rīt-rivāj alag ulfat ke kaun ḳhudā ye kaun kahe

    donoñ pujāran apne apne daas puujā kartī haiñ

    ek hi man ki sab auladen mano jhagDa karti hain

    shahr-e-dil ki galiyon mein jab yaaden khela karti hain

    dard yakayak tham jata hai madhoshi chha jati hai

    sansen nikal jab mere badan se tujh ko chuma karti hain

    suraj chand kinare sagar bechaini ke mare hain

    kis ki bechaini mein lahren karwaT badla karti hain

    dekhne wale chhoD gae sab apni nazren manzar pe

    yani hum sab ki aankhen bas manzar maila karti hain

    rit-riwaj alag ulfat ke kaun KHuda ye kaun kahe

    donon pujaran apne apne das ki puja karti hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now