Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha

Aziz Hamid Madni

ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha

Aziz Hamid Madni

MORE BYAziz Hamid Madni

    ek shahr meñ rahte baste kaale kosoñ duur rahā

    is ġham se ham aur bhī haare vo bhī to majbūr rahā

    kaal thā ashkoñ ā.ankhoñ meñ lekin terī yaad na pūchh

    kyā kyā motī maiñ bhī farāham karne par majbūr rahā

    vo aur itnā pareshāñ-ḳhātir rabt-e-ġhair baat nahīñ

    lekin us ke chup rahne se dil ko vahm zarūr rahā

    ham aaise nākām-e-vafā ke ġhol meñ aakar baiThe ho

    duniyā taqdīr badalnā jin ik dastūr rahā

    husn shart-e-vafā jo Thahrī tesha o sañg-e-girāñ baat

    ham hoñ farhād ho āḳhir āshiq to mazdūr rahā

    vaqt baat hai yaad aa jaanā lekin us baat na pūchh

    yuuñ to lākhoñ bāteñ niklīñ terā mazkūr rahā

    ai mere ḳhurshīd-e-shabī kyā vahm-e-tulū-o-ġhurūb tujhe

    ek tirī gardish aisī thī ḳhāna-e-dil be-nūr rahā

    ishq bhī mohr-ba-lab guzrā hai duniyā kyā jur.at thī

    us nīchī nazroñ meñ bhī aisā saḳht ġhurūr rahā

    ham se us rabt-e-junūñ thā ek hañsī baat thī

    ham ko āḳhir kyuuñ ye ḳhabt-e-sa.ī-e-nā-mashkūr rahā

    sub.h se chalte chalte āḳhir shaam huī āvāra-e-dil

    ab maiñ kis manzil meñ pahuñchā ab ghar kitnī duur rahā

    ek hi shahr mein rahte baste kale koson dur raha

    is gham se hum aur bhi haare wo bhi to majbur raha

    kal tha ashkon ka aaankhon mein lekin teri yaad na puchh

    kya kya moti main bhi faraham karne par majbur raha

    wo aur itna pareshan-KHatir rabt-e-ghair ki baat nahin

    lekin us ke chup rahne se dil ko wahm zarur raha

    hum aaise nakaam-e-wafa ke ghol mein aakar baiThe ho

    duniya ki taqdir badalna jin ka ek dastur raha

    husn ki shart-e-wafa jo Thahri tesha o sang-e-giran ki baat

    hum hon ya farhad ho aaKHir aashiq to mazdur raha

    waqt ki baat hai yaad aa jaana lekin us ki baat na puchh

    yun to lakhon baaten niklin tera hi mazkur raha

    ai mere KHurshid-e-shabi kya wahm-e-tulu-o-ghurub tujhe

    ek teri gardish aisi thi KHana-e-dil be-nur raha

    ishq bhi mohr-ba-lab guzra hai duniya ki kya jurat thi

    us ki nichi nazron mein bhi aisa saKHt ghurur raha

    hum se us ka rabt-e-junun tha ek hansi ki baat si thi

    hum ko aaKHir kyun ye KHabt-e-sai-e-na-mashkur raha

    subh se chalte chalte aaKHir sham hui aawara-e-dil

    ab main kis manzil mein pahuncha ab ghar kitni dur raha

    Source:

    Kulliyat-e-Aziz Hamid Madni (Pg. 462)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now