Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ek pata hawaon se hai laDne wala

Aajiz Hengan Ghati

ek ek pata hawaon se hai laDne wala

Aajiz Hengan Ghati

MORE BYAajiz Hengan Ghati

    ek ik patā havāoñ se hai laḌne vaalā

    peḌ us nahīñ āñdhī se ukhaḌne vaalā

    raah chalte hue uñglī bhī kisī na pakaḌ

    bhiiḌ meñ hotā hai har shaḳhs bichhaḌne vaalā

    ik humakte hue bachche tarah zid na kar

    ḳhushnumā jism khilaunā hai bigaḌne vaalā

    ḳhatm mahloñ ravā-dārī dastūr huā

    ab yahāñ kaun hai dīvār meñ gaḌhne vaalā

    zindagī shahar basāne meñ hai masrūf 'ājiz'

    gaañv tūfān zad meñ hai ujaḌne vaalā

    ek ek pata hawaon se hai laDne wala

    peD us ka nahin aandhi se ukhaDne wala

    rah chalte hue ungli bhi kisi ki na pakaD

    bhiD mein hota hai har shaKHs bichhaDne wala

    ek humakte hue bachche ki tarah zid na kar

    KHushnuma jism khilauna hai bigaDne wala

    KHatm mahlon ki rawa-dari ka dastur hua

    ab yahan kaun hai diwar mein gaDhne wala

    zindagi shahar basane mein hai masruf 'ajiz'

    ganw tufan ki zad mein hai ujaDne wala

    Source:

    Widrabh mein Jadeed Urdu Shairi: Ek Motala (Pg. 73)

      • Publisher: Mohammad Azhar Hayat
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now