Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ishaare mein badal jata hai maiKHane ka nam

Waqar Bijnori

ek ishaare mein badal jata hai maiKHane ka nam

Waqar Bijnori

MORE BYWaqar Bijnori

    ek ishāre meñ badal jaatā hai maiḳhāne naam

    chashm-e-sāqī terī gardish se hai paimāne naam

    pahle thā mauj-e-bahārāñ dil ke lahrāne naam

    maskan-e-barq-e-tapāñ hai ab to kāshāne naam

    aas jis ibtidā thī yaas jis intihā

    ai dil-e-nākām kyā ho aise afsāne naam

    rañg kar rahā āḳhir mohabbat asar

    aaj to un zabāñ par bhī hai dīvāne naam

    āsmāñ par barq gulshan meñ sabā dariyā meñ mauj

    jis jagah dekho nayā hai zulf lahrāne naam

    maut ho vo hoñ donoñ haiñ ilāj-e-dard-e-dil

    vā-e-qismat ek bhī letā nahīñ aane naam

    zulf-e-mushkīñ lāla-ruḳh gul-pairahan mast-e-bahār

    mausam-e-gul hai tumhāre baam par aane naam

    ishq tasvīr ye dūsrā ruḳh hai 'vaqār'

    sham.a jaltī hai magar hotā hai parvāne naam

    ek ishaare mein badal jata hai maiKHane ka nam

    chashm-e-saqi teri gardish se hai paimane ka nam

    pahle tha mauj-e-bahaaran dil ke lahrane ka nam

    maskan-e-barq-e-tapan hai ab to kashane ka nam

    aas jis ki ibtida thi yas jis ki intiha

    ai dil-e-nakaam kya ho aise afsane ka nam

    rang la kar hi raha aaKHir mohabbat ka asar

    aaj to un ki zaban par bhi hai diwane ka nam

    aasman par barq gulshan mein saba dariya mein mauj

    jis jagah dekho naya hai zulf lahrane ka nam

    maut ho ya wo hon donon hain ilaj-e-dard-e-dil

    wa-e-qismat ek bhi leta nahin aane ka nam

    zulf-e-mushkin lala-ruKH gul-pairahan mast-e-bahaar

    mausam-e-gul hai tumhaare baam par aane ka nam

    ishq ki taswir ka ye dusra ruKH hai 'waqar'

    shama jalti hai magar hota hai parwane ka nam

    Source:

    Haft Rang(Bijnor Ke Muqami Shora ka Intikhab-e-kalam) (Pg. 24)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Bazm-e-Adab, Rajasthan
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now