ek jugnu ko nur ki sujhi
ek jugnū ko nuur kī sūjhī
yā'nī andhe ko duur kī sūjhī
ham ko sūjhī to sirf jannat kī
aur muusā ko tuur kī sūjhī
jab ġhalāzat se bhar gayā lahja
aap ko tab shu'ūr kī sūjhī
maiñ ne lāhaul paḌh liyā fauran
mujh ko jab bhī ġhurūr kī sūjhī
raag chheḌā kisī yahūdī ne
to mujhe bhī zabūr kī sūjhī
ek jugnu ko nur ki sujhi
ya'ni andhe ko dur ki sujhi
hum ko sujhi to sirf jannat ki
aur musa ko tur ki sujhi
jab ghalazat se bhar gaya lahja
aap ko tab shu'ur ki sujhi
main ne lahaul paDh liya fauran
mujh ko jab bhi ghurur ki sujhi
rag chheDa kisi yahudi ne
to mujhe bhi zabur ki sujhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.