ek kamra ghazal kitaben gham
ek kamrā ġhazal kitābeñ ġham
ḳhvāb vo kuchh kahāniyāñ aur ham
Thokareñ hijr hājateñ aur maiñ
ek hī zaḳhm hai ka.ī marham
zindagī sī haiñ terī zulfeñ aur
hādsoñ se haiñ in meñ pech-o-ḳham
naukrī naam aur shohrat meñ
shukr hai bañT ga.e haiñ mere ġham
jo qalandar hai ik riyāsat kā
us ko tohfe meñ ḳhaak deñge ham
hai kisī 'shams' kī nazar us par
is se anjān hai koī shabnam
ek kamra ghazal kitaben gham
KHwab wo kuchh kahaniyan aur hum
Thokaren hijr hajaten aur main
ek hi zaKHm hai kai marham
zindagi si hain teri zulfen aur
hadson se hain in mein pech-o-KHam
naukri nam aur shohrat mein
shukr hai banT gae hain mere gham
jo qalandar hai ek riyasat ka
us ko tohfe mein KHak denge hum
hai kisi 'shams' ki nazar us par
is se anjaan hai koi shabnam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.