ek KHwahish meri ye bhi thi ki duniya dekhun
ek ḳhvāhish mirī ye bhī thī ki duniyā dekhūñ
tū magar saath nahīñ hai to bhalā kyā dekhūñ
terā likkhā jo paḌhūñ to tirī āvāz sunūñ
terī āvāz sunūñ to tirā chehra dekhūñ
raat chhat par maiñ sitāroñ se gaḌhūñ ik paikar
phir ḳhalāoñ meñ vahī naqsh ubhartā dekhūñ
vo rahe saath jo shab bhar meñ divānoñ kī tarah
chāñd dekhūñ to kabhī chāñd sā mukhḌā dekhūñ
maiñ ne sochā thā ki jī bhar ke use dekhūñgā
jī to bhartā hī nahīñ hai use jitnā dekhūñ
ek KHwahish meri ye bhi thi ki duniya dekhun
tu magar sath nahin hai to bhala kya dekhun
tera likkha jo paDhun to teri aawaz sunun
teri aawaz sunun to tera chehra dekhun
raat chhat par main sitaron se gaDhun ek paikar
phir KHalaon mein wahi naqsh ubharta dekhun
wo rahe sath jo shab bhar mein diwanon ki tarah
chand dekhun to kabhi chand sa mukhDa dekhun
main ne socha tha ki ji bhar ke use dekhunga
ji to bharta hi nahin hai use jitna dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.