Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek lahraati hui naddi ka sahil hua main

Pawan Kumar

ek lahraati hui naddi ka sahil hua main

Pawan Kumar

MORE BYPawan Kumar

    ek lahrātī huī naddī sāhil huā maiñ

    phir huā ye ki har ik lahr se ghā.il huā maiñ

    ab banāte haiñ mire dost nishāna mujh ko

    tujh ko paane talab meñ kisī qābil huā maiñ

    dil meñ is raaz ko tā-'umr chhupā kar rakkhā

    kis chāhat meñ thā shāmil kise hāsil huā maiñ

    aa gayā ishq mafhūm samajh meñ us

    us ke ḳhvāboñ meñ kisī roz jo dāḳhil huā maiñ

    suḳhan-var hai to mujh ko bhī ye hāsil hai sharaf

    lafz ban kar tire dīvān meñ shāmil huā maiñ

    ek muddat se samajhne meñ lagā huuñ ḳhud ko

    yā'nī ab apne liye bhī baḌā mushkil huā maiñ

    ek lahraati hui naddi ka sahil hua main

    phir hua ye ki har ek lahr se ghail hua main

    ab banate hain mere dost nishana mujh ko

    tujh ko pane ki talab mein kisi qabil hua main

    dil mein is raaz ko ta-'umr chhupa kar rakkha

    kis ki chahat mein tha shamil kise hasil hua main

    aa gaya ishq ka mafhum samajh mein us ki

    us ke KHwabon mein kisi roz jo daKHil hua main

    tu suKHan-war hai to mujh ko bhi ye hasil hai sharaf

    lafz ban kar tere diwan mein shamil hua main

    ek muddat se samajhne mein laga hun KHud ko

    ya'ni ab apne liye bhi baDa mushkil hua main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now