Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek manzar mein kai bar use dekh ke dekh

Seema Naqvi

ek manzar mein kai bar use dekh ke dekh

Seema Naqvi

MORE BYSeema Naqvi

    ek manzar meñ ka.ī baar use dekh ke dekh

    dekhnā hai to lagātār use dekh ke dekh

    koī sūraj se milā paatā hai kab tak āñkheñ

    phir bhī ik baar lagātār use dekh ke dekh

    ye khulī aañkh manzar nahīñ hai mirī jaañ

    band āñkhoñ se bhī ik baar use dekh ke dekh

    barf āñkhoñ meñ liye duur khaḌe shaḳhs ḳhair

    kaise jalne lage ruḳhsār use dekh ke dekh

    koī dālān se jugnū na idhar aa nikle

    ḳhvāb ho jaa.eñ na bedār use dekh ke dekh

    dekhte dekhte kyā kuchh nazar aane lag jaa.e

    ā.īna-ḳhāne ke us paar use dekh ke dekh

    hai yaqīñ chaal sitāroñ badal jā.egī

    ek din sub.h aḳhbār use dekh ke dekh

    lab haiñ jis naam tasbīh use sun ke sun

    aañkh jis hai talabgār use dekh ke dekh

    gard tanhā.ī ab chhoḌ uḌānā 'sīmā'

    jheñpte haiñ dar-o-dīvār use dekh ke dekh

    ek manzar mein kai bar use dekh ke dekh

    dekhna hai to lagatar use dekh ke dekh

    koi suraj se mila pata hai kab tak aankhen

    phir bhi ek bar lagatar use dekh ke dekh

    ye khuli aankh ka manzar hi nahin hai meri jaan

    band aankhon se bhi ek bar use dekh ke dekh

    barf aankhon mein liye dur khaDe shaKHs ki KHair

    kaise jalne lage ruKHsar use dekh ke dekh

    koi dalan se jugnu na idhar aa nikle

    KHwab ho jaen na bedar use dekh ke dekh

    dekhte dekhte kya kuchh nazar aane lag jae

    aaina-KHane ke us par use dekh ke dekh

    hai yaqin chaal sitaron ki badal jaegi

    ek din subh ka aKHbar use dekh ke dekh

    lab hain jis nam ki tasbih use sun ke tu sun

    aankh jis ki hai talabgar use dekh ke dekh

    gard tanhai ki ab chhoD uDana 'sima'

    jhenpte hain dar-o-diwar use dekh ke dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now