Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek markaz pe simaT aai hai sari duniya

Charan Singh Bashar

ek markaz pe simaT aai hai sari duniya

Charan Singh Bashar

MORE BYCharan Singh Bashar

    ek markaz pe simaT aa.ī hai saarī duniyā

    ham tamāshā haiñ tamāshā.ī hai saarī duniyā

    jashn hogā kisī ā.īna-sifat shāyad

    sañg hāthoñ meñ uThā laa.ī hai saarī duniyā

    vo ḳhudā to nahīñ lekin hai ḳhudā banda

    jis āvāz se tharrā.ī hai saarī duniyā

    vo bhī duniyā ke liye chhoḌ rahā hai mujh ko

    maiñ ne jis ke liye Thukrā.ī hai saarī duniyā

    kyuuñ nigāhoñ meñ khaTaktā hai nizām-e-qudrat

    kyuuñ baġhāvat pe utar aa.ī hai saarī duniyā

    maut ko dost banānā munāsib hai 'bashar'

    zindagī to tamannā.ī hai saarī duniyā

    ek markaz pe simaT aai hai sari duniya

    hum tamasha hain tamashai hai sari duniya

    jashn hoga kisi aaina-sifat ka shayad

    sang hathon mein uTha lai hai sari duniya

    wo KHuda to nahin lekin hai KHuda ka banda

    jis ki aawaz se tharrai hai sari duniya

    wo bhi duniya ke liye chhoD raha hai mujh ko

    main ne jis ke liye Thukrai hai sari duniya

    kyun nigahon mein khaTakta hai nizam-e-qudrat

    kyun baghawat pe utar aai hai sari duniya

    maut ko dost banana hi munasib hai 'bashar'

    zindagi ki to tamannai hai sari duniya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now