Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun

Muneer Niyazi

ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun

Muneer Niyazi

MORE BYMuneer Niyazi

    ek nagar ke naqsh bhulā duuñ ek nagar ījād karūñ

    ek taraf ḳhāmoshī kar duuñ ek taraf ābād karūñ

    manzil-e-shab jab tai karnī hai apne akele dam se

    kis ke liye is jagah pe ruk kar din apnā barbād karūñ

    bahut qadīm naam hai koī abr-o-havā ke tūfāñ meñ

    naam jo maiñ ab bhuul chukā huuñ kaise us ko yaad karūñ

    ke sunūñ āsār-e-chaman meñ saa.eñ saa.eñ shāḳhoñ

    ḳhālī mahl ke burjoñ se dīdār-e-barq-o-bād karūñ

    sher 'munīr' likhūñ maiñ uTh kar sehn-e-sahar ke rañgoñ meñ

    phir kaam ye nazm-e-jahāñ shaam Dhale ke ba.ad karūñ

    ek nagar ke naqsh bhula dun ek nagar ijad karun

    ek taraf KHamoshi kar dun ek taraf aabaad karun

    manzil-e-shab jab tai karni hai apne akele dam se hi

    kis ke liye is jagah pe ruk kar din apna barbaad karun

    bahut qadim ka nam hai koi abr-o-hawa ke tufan mein

    nam jo main ab bhul chuka hun kaise us ko yaad karun

    ja ke sunun aasar-e-chaman mein saen saen shaKHon ki

    KHali mahl ke burjon se didar-e-barq-o-baad karun

    sher 'munir' likhun main uTh kar sehn-e-sahar ke rangon mein

    ya phir kaam ye nazm-e-jahan ka sham Dhale ke baad karun

    Source:

    kulliyat-e-muniir niyaazii (Pg. 495)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now