Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek nai zist liye aaj ajal aai hai

Akmal Alduri

ek nai zist liye aaj ajal aai hai

Akmal Alduri

MORE BYAkmal Alduri

    ek na.ī ziist liye aaj ajal aa.ī hai

    qaid se ham ne rihā.ī kahāñ paa.ī hai

    us se milne ke liye is qadar ai dil na taḌap

    merā iz.hār-e-mohabbat mirī rusvā.ī hai

    inqilābāt-e-zamāna ko zamāna samjhe

    ham to kahte haiñ ki vo bhī tirī añgḌā.ī hai

    jis ke sho.aloñ se huī husn rangat raushan

    aag aisī mire jazbāt ne sulgā.ī hai

    ham ne armānoñ mayyat ko diyā hai kāñdhā

    ai ġham-e-dil ye tirī hausla-afzā.ī hai

    hai ye Dar nuuh tūfāñ na samajh le duniyā

    chādar-e-ashk-e-vafā ham ne jo phailā.ī hai

    ā.ina-ḳhāna-e-dil meñ vo zarūr ā.eñge

    un ke dil meñ bhī tamanna-e-ḳhud-ārā.ī hai

    haath se saaqī ke piinā paḌegā mujhe ab

    merī tauba-shikanī ban ke ghaTā chhā.ī hai

    'akmal' insān vo akmal hai ba-faiz-e-fitrat

    dard-e-insāñ se jis insāñ shanāsā.ī hai

    ek nai zist liye aaj ajal aai hai

    qaid se hum ne rihai hi kahan pai hai

    us se milne ke liye is qadar ai dil na taDap

    mera izhaar-e-mohabbat meri ruswai hai

    inqilabaat-e-zamana ko zamana samjhe

    hum to kahte hain ki wo bhi teri angDai hai

    jis ke shoalon se hui husn ki rangat raushan

    aag aisi mere jazbaat ne sulgai hai

    hum ne armanon ki mayyat ko diya hai kandha

    ai gham-e-dil ye teri hausla-afzai hai

    hai ye Dar nuh ka tufan na samajh le duniya

    chadar-e-ashk-e-wafa hum ne jo phailai hai

    aaina-KHana-e-dil mein wo zarur aaenge

    un ke dil mein bhi tamanna-e-KHud-arai hai

    hath se saqi ke pina hi paDega mujhe ab

    meri tauba-shikani ban ke ghaTa chhai hai

    'akmal' insan wo akmal hai ba-faiz-e-fitrat

    dard-e-insan se jis insan ki shanasai hai

    Source:

    Saghar-e-Ikhlas (Pg. 76)

    • Author: Akmal Alduri
      • Publisher: Idara Adab-e-Islami Hind, Bangalore
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now