Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin

Khalid Mahmood Zaki

ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin

Khalid Mahmood Zaki

MORE BYKhalid Mahmood Zaki

    ek paikar hai ki imsāl meñ aatā nahīñ

    jaise ā.īna ḳhad-o-ḳhāl meñ aatā nahīñ

    āsmāñ ye qafas qaid kare bhī kaise

    dil vo panchhī ki par-o-bāl meñ aatā nahīñ

    ham jise dekhte haiñ us ke 'alāva bhī hai

    ik zamāna jo mah-o-sāl meñ aatā nahīñ

    apne rahne ko bhī kyā shahr milā hai jis

    haal ye hai ki kisī haal meñ aatā nahīñ

    māntā kab hai kisī sūd-o-ziyāñ ko ye dil

    aisā vahshī hai kisī chaal meñ aatā nahīñ

    ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin

    jaise aaina KHad-o-KHal mein aata hi nahin

    aasman ka ye qafas qaid kare bhi kaise

    dil wo panchhi ki par-o-baal mein aata hi nahin

    hum jise dekhte hain us ke 'alawa bhi hai

    ek zamana jo mah-o-sal mein aata hi nahin

    apne rahne ko bhi kya shahr mila hai jis ka

    haal ye hai ki kisi haal mein aata hi nahin

    manta kab hai kisi sud-o-ziyan ko ye dil

    aisa wahshi hai kisi chaal mein aata hi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now