Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek pal mein TuTne ko hai samundar ka sukut

Nomaan Shauque

ek pal mein TuTne ko hai samundar ka sukut

Nomaan Shauque

MORE BYNomaan Shauque

    ek pal meñ TūTne ko hai samundar sukūt

    ye ishāra kar rahā hai ret ke ghar sukūt

    ham bahut pachhtā.e āvāzoñ se rishta joḌ kar

    shor ik lamhe thā aur zindagī bhar sukūt

    ho sake to kījiye ab zalzale ehtimām

    varna dastak se nahīñ TūTegā is ghar sukūt

    koī to āvāz ubhre dil ke vīrāne se ab

    chāTtā jaatā hai mujh ko mere andar sukūt

    ek lamhe meñ shafaq ke rañg ko kajlā ga.ī

    us pal bhar udāsī us pal bhar sukūt

    ek pal mein TuTne ko hai samundar ka sukut

    ye ishaara kar raha hai ret ke ghar ka sukut

    hum bahut pachhtae aawazon se rishta joD kar

    shor ek lamhe ka tha aur zindagi bhar ka sukut

    ho sake to kijiye ab zalzale ka ehtimam

    warna dastak se nahin TuTega is ghar ka sukut

    koi to aawaz ubhre dil ke virane se ab

    chaTta jata hai mujh ko mere andar ka sukut

    ek lamhe mein shafaq ke rang ko kajla gai

    us ki pal bhar ki udasi us ka pal bhar ka sukut

    Source:

    Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 116)

    • Author: Nomaan Shauq
      • Edition: First
      • Publisher: Rekhta Publications
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now