Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek rangin kahani hai tere shahr ki raat

Hosh Nomani Rampuri

ek rangin kahani hai tere shahr ki raat

Hosh Nomani Rampuri

MORE BYHosh Nomani Rampuri

    ek rañgīn kahānī hai tire shahr raat

    haa.e ye kis javānī hai tire shahr raat

    bas yuuñ zulf bikhere hue aa ai dost

    aaj kis darja suhānī hai tire shahr raat

    regzār-e-dil-e-shā.ir ke liye jān-e-ġhazal

    mauj-e-dariyā ravānī hai tire shahr raat

    dil is kohar-zada yaas bharī bastī meñ

    tujh se maañg ke laanī hai tire shahr raat

    baar ho jā.egā zehnoñ pe tasavvur din

    aaj is tarah jagānī hai tire shahr raat

    vo nahīñ hai to ġhamistā-e-taḳhayyul qasam

    'hosh' afsurda kahānī hai tire shahr raat

    ek rangin kahani hai tere shahr ki raat

    hae ye kis ki jawani hai tere shahr ki raat

    bas yun hi zulf bikhere hue aa ja ai dost

    aaj kis darja suhani hai tere shahr ki raat

    regzar-e-dil-e-shair ke liye jaan-e-ghazal

    mauj-e-dariya ki rawani hai tere shahr ki raat

    dil ki is kohar-zada yas bhari basti mein

    tujh se hi mang ke lani hai tere shahr ki raat

    bar ho jaega zehnon pe tasawwur din ka

    aaj is tarah jagani hai tere shahr ki raat

    wo nahin hai to ghamista-e-taKHayyul ki qasam

    'hosh' afsurda kahani hai tere shahr ki raat

    Source:

    Itmam (Pg. 116)

    • Author: Hosh Nomani Rampuri
      • Publisher: Hosh Nomani Rampuri
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now