Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai

Aslam Ansari

ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai

Aslam Ansari

MORE BYAslam Ansari

    ek samundar ek kināra ek sitārā kaafī hai

    is manzar meñ us ke alāva koī akelā kaafī hai

    dene vaalā jholiyāñ bhar bhar detā hai to us karam

    lene vaale kab kahte haiñ daatā itnā kaafī hai

    ek ġhalat-andāz nazar se gulshan gulshan daaġh jaleñ

    shabnam shabnam rulvāne ko ek jumla kaafī hai

    ḳhushk laboñ par pyaas sajā.e bahr-e-āshām nahīñ haiñ ham

    ham jaisoñ ko tishna-labī meñ ek dariyā kaafī hai

    ab to aur bhī duniyā.eñ haiñ muntazir-e-arbāb-e-havas

    un logoñ qaul nahīñ hai ham ko ye duniyā kaafī hai

    shahr-e-vafā se dasht-e-junūñ tak chāhe jitne marāhil huuñ

    vahshat ke to dūsre ruḳh par ek darīcha kaafī hai

    husn-e-suḳhan baaqī rakhne ko kuchh ib.hām zarūrī hai

    kahte kahte ruk jaane meñ hai jo ishāra kaafī hai

    us ke afsūñ us ke fasāne donoñ ko mas.hūr rakheñ

    aql-o-junūñ dahlīzoñ par ḳhvāb pahra kaafī hai

    ek sabhā dil vāloñ ik taan rasīle logoñ

    shahr ke raushan rakhne ko itnā ujālā kaafī hai

    ek samundar ek kinara ek sitara kafi hai

    is manzar mein us ke alawa koi akela kafi hai

    dene wala jholiyan bhar bhar deta hai to us ka karam

    lene wale kab kahte hain data itna kafi hai

    ek ghalat-andaz nazar se gulshan gulshan dagh jalen

    shabnam shabnam rulwane ko ek hi jumla kafi hai

    KHushk labon par pyas sajae bahr-e-asham nahin hain hum

    hum jaison ko tishna-labi mein ek hi dariya kafi hai

    ab to aur bhi duniyaen hain muntazir-e-arbab-e-hawas

    un logon ka qaul nahin hai hum ko ye duniya kafi hai

    shahr-e-wafa se dasht-e-junun tak chahe jitne marahil hun

    wahshat ke to dusre ruKH par ek daricha kafi hai

    husn-e-suKHan baqi rakhne ko kuchh ibham zaruri hai

    kahte kahte ruk jaane mein hai jo ishaara kafi hai

    us ke afsun us ke fasane donon ko mashur rakhen

    aql-o-junun ki dahlizon par KHwab ka pahra kafi hai

    ek sabha dil walon ki ek tan rasile logon ki

    shahr ke raushan rakhne ko itna sa ujala kafi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now