Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek se jazbe KHun mein surKHi ek hi thi

muneer saifi

ek se jazbe KHun mein surKHi ek hi thi

muneer saifi

MORE BYmuneer saifi

    ek se jazbe ḳhuun meñ surḳhī ek thī

    des judā the pyaar currency ek thī

    us par bhī bas lailā lailā likkhā thā

    us ke paas agarche taḳhtī ek thī

    ghoḌe banānā chhoḌ diye kumhāroñ ne

    gaañv meñ Dūbne vaalī laḌkī ek thī

    hissa-bakhre baañT liye haiñ logoñ ne

    bechāre kyā karte dhartī ek thī

    phir koī tūfān na aayā Thiik huā

    varna nuuh ke paas bhī kashtī ek thī

    us ke ba.ad sarāb thā vīrāne the

    saat zamīnoñ par bhī bastī ek thī

    apne sāmne maiñ ḳhud saf-ārā thā

    aur mirī bandūq meñ golī ek thī

    ek se jazbe KHun mein surKHi ek hi thi

    des juda the pyar currency ek hi thi

    us par bhi bas laila laila likkha tha

    us ke pas agarche taKHti ek hi thi

    ghoDe banana chhoD diye kumhaaron ne

    ganw mein Dubne wali laDki ek hi thi

    hissa-bakhre banT liye hain logon ne

    bechaare kya karte dharti ek hi thi

    phir koi tufan na aaya Thik hua

    warna nuh ke pas bhi kashti ek hi thi

    us ke baad sarab tha ya virane the

    sat zaminon par bhi basti ek hi thi

    apne samne main KHud hi saf-ara tha

    aur meri banduq mein goli ek hi thi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now