ek shab mein kamre ka rup Dhal gaya kaise
ek shab meñ kamre kā ruup Dhal gayā kaise
vo to giilī lakḌī thā raat jal gayā kaise
ek-tarfa chāhat bhī kaisā dard hotī hai
maiñ huuñ aaj tak patthar vo badal gayā kaise
kal tamām bastī meñ sail-e-ḳhūñ bahā lekin
ek sar-phirā qātil kal sañbhal gayā kaise
vo zamīn-zādoñ kī ḳhūñ-kashī kā 'aadī thā
aaj apnā ḳhuuñ pī kar dam nikal gayā kaise
chāñd kī haqīqat ko ḳhuub jāntā huuñ maiñ
phir bhī chāñd-rātoñ kā jaadū chal gayā kaise
ek shab mein kamre ka rup Dhal gaya kaise
wo to gili lakDi tha raat jal gaya kaise
ek-tarfa chahat bhi kaisa dard hoti hai
main hun aaj tak patthar wo badal gaya kaise
kal tamam basti mein sail-e-KHun baha lekin
ek sar-phira qatil kal sanbhal gaya kaise
wo zamin-zadon ki KHun-kashi ka 'adi tha
aaj apna KHun pi kar dam nikal gaya kaise
chand ki haqiqat ko KHub jaanta hun main
phir bhi chand-raaton ka jadu chal gaya kaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.