Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek taklif pas-e-qalb-o-jigar hoti hai

Ameer Hamza Salfi

ek taklif pas-e-qalb-o-jigar hoti hai

Ameer Hamza Salfi

MORE BYAmeer Hamza Salfi

    ek taklīf pas-e-qalb-o-jigar hotī hai

    aksar is tarah se bhī raat basar hotī hai

    maiñ ġham-e-shab ko basar kartā huuñ mushkil se miyāñ

    shab guzarte kisī dukh se sahar hotī hai

    nāsehā kuchh to kamī hogī tirī baat meñ bhī

    is liye terī nasīhat be-asar hotī hai

    de to saktā huuñ javāban maiñ tujhe bhī gaalī

    mere kirdār tauhīn magar hotī hai

    silsila hai ye mohabbat bhī mukāfāt

    jo idhar hotī hai hālat vo udhar hotī hai

    aate haiñ kitne dushvār marāhil 'hamza'

    tai jo jaa.e to tai rāhguzar hotī hai

    ek taklif pas-e-qalb-o-jigar hoti hai

    aksar is tarah se bhi raat basar hoti hai

    main gham-e-shab ko basar karta hun mushkil se miyan

    shab guzarte hi kisi dukh se sahar hoti hai

    naseha kuchh to kami hogi teri baat mein bhi

    is liye teri nasihat be-asar hoti hai

    de to sakta hun jawaban main tujhe bhi gali

    mere kirdar ki tauhin magar hoti hai

    silsila hai ye mohabbat bhi mukafat hi ka

    jo idhar hoti hai haalat wo udhar hoti hai

    aate hain kitne hi dushwar marahil 'hamza'

    tai jo ki jae to tai rahguzar hoti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now