ek to baiThe ho dil ko mere kho aur suno

ek to baiThe ho dil ko mere kho aur suno
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
ek to baiThe ho dil ko mire kho aur suno
tis pe kahte ho ''diyā hai tujhe'' lo aur suno
mai piyo aap jo deveñ mujhe talchhaT ahbāb
un se kahte ho use ḳhaak na do aur suno
qissa apnā to maiñ sab tum se kahā ai yaaro
chupke kyuuñ baiThe ho kuchh tum bhī kaho aur suno
chuTkiyāñ lete ho jab paas mire baiTho ho
aap ne zor nikālī hai ye ḳhū aur suno
sitam-e-turfa to ye hai ki mujhe rotā dekh
hañs ke kahte ho zarā aur bhī ro aur suno
abhī daftar haiñ baġhal meñ mirī ai ham-nafaso
ek hī baat meñ itnā na ruko aur suno
'mus.hafī' Dar nahīñ mere ta.iiñ rusvā.ī se
baat apnī mujhe kahnī use go aur suno
ek to baiThe ho dil ko mere kho aur suno
tis pe kahte ho diya hai tujhe lo aur suno
mai piyo aap jo dewen mujhe talchhaT ahbab
un se kahte ho use KHak na do aur suno
qissa apna to main sab tum se kaha ai yaro
chupke kyun baiThe ho kuchh tum bhi kaho aur suno
chuTkiyan lete ho jab pas mere baiTho ho
aap ne zor nikali hai ye KHu aur suno
sitam-e-turfa to ye hai ki mujhe rota dekh
hans ke kahte ho zara aur bhi ro aur suno
abhi daftar hain baghal mein meri ai ham-nafaso
ek hi baat mein itna na ruko aur suno
'mushafi' Dar nahin mere tain ruswai se
baat apni mujhe kahni use go aur suno
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(awwa) (Pg. 303)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.