Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek to qayamat hai is makan ki tanhai

Khushbir Singh Shaad

ek to qayamat hai is makan ki tanhai

Khushbir Singh Shaad

MORE BYKhushbir Singh Shaad

    ek to qayāmat hai is makāñ tanhā.ī

    us pe maar Dālegī mujh ko jaañ tanhā.ī

    tum ne to sitāroñ ko duur se dekhā hai

    tum samajh na pāoge āsmāñ tanhā.ī

    vo udhar akelā thā ham idhar akele the

    rāste meñ haa.il thī darmiyāñ tanhā.ī

    phir vahī charāġhoñ rafta rafta bujh jaanā

    phir vahī sukūt-e-shab phir vo jaañ tanhā.ī

    dasht meñ bhī kuchh din tak vahshateñ to hotī haiñ

    raas aane lagtī hai phir vahāñ tanhā.ī

    koī bhī yaqīñ dil ko 'shād' kar nahīñ saktā

    ruuh meñ utar jaa.e jab gumāñ tanhā.ī

    ek to qayamat hai is makan ki tanhai

    us pe mar Dalegi mujh ko jaan ki tanhai

    tum ne to sitaron ko dur hi se dekha hai

    tum samajh na paoge aasman ki tanhai

    wo udhar akela tha hum idhar akele the

    raste mein hail thi darmiyan ki tanhai

    phir wahi charaghon ka rafta rafta bujh jaana

    phir wahi sukut-e-shab phir wo jaan ki tanhai

    dasht mein bhi kuchh din tak wahshaten to hoti hain

    ras aane lagti hai phir wahan ki tanhai

    koi bhi yaqin dil ko 'shad' kar nahin sakta

    ruh mein utar jae jab guman ki tanhai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now