Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de

Haidar Husain Fiza Lucknowi

ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de

Haidar Husain Fiza Lucknowi

MORE BYHaidar Husain Fiza Lucknowi

    evaz vafā jafā se sitam-shi.ār na de

    sukūn gar nahīñ detā to intishār na de

    tasalliyāñ mujhe be-kār ġham-gusār na de

    na hogā fā.eda kuchh aarzī bahār na de

    bahār hai talab mujh ko bāġhbāñ lekin

    ḳhizāñ-nasīb jo ho vo mujhe bahār na de

    nazar na aa.e mujhe jis meñ dost sūrat

    aisā ā.ina-e-qalb kirdgār na de

    talab hai garmī-e-pahlū-e-dost mujh ko

    havā-e-sard na de mujh ko jūebār na de

    havā-e-zulf se sab ko sukūn miltā hai

    ye aur baat hai dil ko mire qarār na de

    asīr-e-halqa-e-gesū karegā aalam ko

    kisī hasīn ko allāh eqtidār na de

    taḌap rahā huuñ maiñ aise ki jaise saañp Dase

    ḳhudā kisī ko bhī saudā-e-zulf-e-yār na de

    kisī ke dukh meñ na taḌpe jo dil vo dil nahīñ

    jo zulm ko na miTā.e vo iḳhtiyār na de

    zabān-e-ḳhalq ko naqqāra-e-ḳhudā na banā

    burā.iyoñ kabhī apnī ishtihār na de

    sunā hai un zabāñ par hamārā shikva hai

    ḳhudā hamārī samā.at ko e.atibār na de

    paḌe na dil se kahīñ un ke gard-e-ranj-o-alam

    pata lahad uTh uTh kar unheñ ġhubār na de

    'fazā' ko jalva-e-husn apnā ek baar dikhā

    nazar ko lazzat-e-tauqīr-e-intizār na de

    ewaz wafa ka jafa se sitam-shiar na de

    sukun gar nahin deta to intishaar na de

    tasalliyan mujhe be-kar gham-gusar na de

    na hoga faeda kuchh aarzi bahaar na de

    bahaar ki hai talab mujh ko baghban lekin

    KHizan-nasib jo ho wo mujhe bahaar na de

    nazar na aae mujhe jis mein dost ki surat

    tu aisa aaina-e-qalb kirdgar na de

    talab hai garmi-e-pahlu-e-dost ki mujh ko

    hawa-e-sard na de mujh ko juebar na de

    hawa-e-zulf se sab ko sukun milta hai

    ye aur baat hai dil ko mere qarar na de

    asir-e-halqa-e-gesu karega aalam ko

    kisi hasin ko allah eqtidar na de

    taDap raha hun main aise ki jaise sanp Dase

    KHuda kisi ko bhi sauda-e-zulf-e-yar na de

    kisi ke dukh mein na taDpe jo dil wo dil hi nahin

    jo zulm ko na miTae wo iKHtiyar na de

    zaban-e-KHalq ko naqqara-e-KHuda na bana

    buraiyon ka kabhi apni ishtihaar na de

    suna hai un ki zaban par hamara shikwa hai

    KHuda hamari samaat ko eatibar na de

    paDe na dil se kahin un ke gard-e-ranj-o-alam

    pata lahad ka uTh uTh kar unhen ghubar na de

    'faza' ko jalwa-e-husn apna ek bar dikha

    nazar ko lazzat-e-tauqir-e-intizar na de

    Source:

    Zamzama (Pg. 114)

    • Author: Haidar Husain Fiza Lucknowi
      • Publisher: Haidar Husain Fiza Lucknowi
      • Year of Publication: 1986
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now