Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faslon ki KHandaqen bharna zaruri ho gaya

Ishaq Asar

faslon ki KHandaqen bharna zaruri ho gaya

Ishaq Asar

MORE BYIshaq Asar

    fāsloñ ḳhandaqeñ bharnā zarūrī ho gayā

    zindagī ke vāste marnā zarūrī ho gayā

    thī adhūrī dāstān-e-zindagī tere baġhair

    zikr terā is liye karnā zarūrī ho gayā

    ban ga.ī hai aaj har shai be-yaqīnī dalīl

    apne saa.e se bhī ab Darnā zarūrī ho gayā

    jang roTī nahīñ bachchoñ ke mustaqbil hai

    ma.arka ab ye bhī sar karnā zarūrī ho gayā

    jo kisī din ḳhvāb āñkhoñ meñ utrī thī 'asar'

    rang us tasvīr meñ bharnā zarūrī ho gayā

    faslon ki KHandaqen bharna zaruri ho gaya

    zindagi ke waste marna zaruri ho gaya

    thi adhuri dastan-e-zindagi tere baghair

    zikr tera is liye karna zaruri ho gaya

    ban gai hai aaj har shai be-yaqini ki dalil

    apne sae se bhi ab Darna zaruri ho gaya

    jang roTi ki nahin bachchon ke mustaqbil ki hai

    marka ab ye bhi sar karna zaruri ho gaya

    jo kisi din KHwab si aankhon mein utri thi 'asar'

    rang us taswir mein bharna zaruri ho gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now