Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faisla koi bulandi pe pahunch kar hoga

Zafar Zaidi

faisla koi bulandi pe pahunch kar hoga

Zafar Zaidi

MORE BYZafar Zaidi

    faisla koī bulandī pe pahuñch kar hogā

    jab mire sāmne har shahr manzar hogā

    aur kuchh der ise rauñd ke ḳhush ho jā.ūñ

    aañkh khulte ye sūraj mire sar par hogā

    kashtiyāñ aaj se pahle huiiñ kitnī ġharqāb

    is andāza samundar meñ utar kar hogā

    ik nujūmī ne batā.ī hai baḌe kaam baat

    kal din aaj se har haal meñ behtar hogā

    kyuuñ na maiñ apne qadam soch samajh kar rakkhūñ

    vo ta.āqub meñ mire saath to aksar hogā

    is ke saa.e meñ chhupe baiThe haiñ kitne afrād

    is andāza to dīvār girā kar hogā

    toḌ Daale the dar-o-bām safar se pahle

    muntazir mere liye phir bhī mirā ghar hogā

    ghuTniyoñ chalnā abhī aaj sīkhā hai 'zafar'

    kal ye bachcha bhī mire qad ke barābar hogā

    faisla koi bulandi pe pahunch kar hoga

    jab mere samne har shahr ka manzar hoga

    aur kuchh der ise raund ke KHush ho jaun

    aankh khulte hi ye suraj mere sar par hoga

    kashtiyan aaj se pahle huin kitni gharqab

    is ka andaza samundar mein utar kar hoga

    ek nujumi ne batai hai baDe kaam ki baat

    kal ka din aaj se har haal mein behtar hoga

    kyun na main apne qadam soch samajh kar rakkhun

    wo taaqub mein mere sath to aksar hoga

    is ke sae mein chhupe baiThe hain kitne afrad

    is ka andaza to diwar gira kar hoga

    toD Dale the dar-o-baam safar se pahle

    muntazir mere liye phir bhi mera ghar hoga

    ghuTniyon chalna abhi aaj hi sikha hai 'zafar'

    kal ye bachcha bhi mere qad ke barabar hoga

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now