faisle ki ye ghaDi hai
faisle kī ye ghaḌī hai
train paTrī par khaḌī hai
duur vaañ jo jhoñpaḌī hai
shah kī āñkhoñ meñ aḌī hai
raat ham ko khā rahī hai
tum ko sone kī paḌī hai
ham tirī ḳhātir ruke haiñ
maut to aa kar khaḌī hai
vaqt bhī achchhā nahīñ hai
haath meñ TuuTī ghaḌī hai
faisle ki ye ghaDi hai
train paTri par khaDi hai
dur wan jo jhonpaDi hai
shah ki aankhon mein aDi hai
raat hum ko kha rahi hai
tum ko sone ki paDi hai
hum teri KHatir ruke hain
maut to aa kar khaDi hai
waqt bhi achchha nahin hai
hath mein TuTi ghaDi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.