Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak ka har sitara mah-e-taban ho nahin sakta

Nishat kishtwadi

falak ka har sitara mah-e-taban ho nahin sakta

Nishat kishtwadi

MORE BYNishat kishtwadi

    falak har sitāra māh-e-tābāñ ho nahīñ saktā

    har ik zarra kabhī mahr-e-daraḳhshāñ ho nahīñ saktā

    har ik chashme paanī āb-e-haivāñ ho nahīñ saktā

    har ik qatra jo girtā hai vo naisāñ ho nahīñ saktā

    jo bulbul se ho ḳhālī vo gulistāñ ho nahīñ saktā

    jo dard-e-dil se ḳhālī ho vo insāñ ho nahīñ saktā

    chaman bāġhbāñ koī sitam-rāñ ho nahīñ saktā

    koī sayyād bulbul nigahbāñ ho nahīñ saktā

    jahāñ par hoñ 'arastū' aur 'luqmāñ' zīnat-e-mahfil

    vahāñ sadr-e-mahfil koī nādāñ ho nahīñ saktā

    vafā kar ke bhī ham haiñ taḳhta-e-mashq-e+sitam-rānī

    jafā-kāroñ se apnā ahd-o-paimāñ ho nahīñ saktā

    dharam ko diin ko maz.hab ko aapas meñ jo Takrā.e

    vo hindū ho nahīñ saktā musalmāñ ho nahīñ saktā

    tire bahr-e-sukūñ meñ ek tūfāñ zarūrat hai

    taḌap paidā na ho jab tak vo tūfāñ ho nahīñ saktā

    uThā lā.ūñ na jab tak āsmāñ se māh-o-anjum ko

    mire zulmat-kade meñ yuuñ charāġhāñ ho nahīñ saktā

    chaman vaalo na ho jis ḳhuuñ meñ rang-o-bū-e-āzādī

    kaTā kar sar bhī vo ḳhūn-e-shahīdāñ ho nahīñ saktā

    'nishāt'-e-dil-hazīñ Takrā.eñge kar falak se ye

    agar in dard ke nāloñ darmāñ ho nahīñ saktā

    falak ka har sitara mah-e-taban ho nahin sakta

    har ek zarra kabhi mahr-e-daraKHshan ho nahin sakta

    har ek chashme ka pani aab-e-haiwan ho nahin sakta

    har ek qatra jo girta hai wo naisan ho nahin sakta

    jo bulbul se ho KHali wo gulistan ho nahin sakta

    jo dard-e-dil se KHali ho wo insan ho nahin sakta

    chaman ka baghban koi sitam-ran ho nahin sakta

    koi sayyaad bulbul ka nigahban ho nahin sakta

    jahan par hon 'arastu' aur 'luqman' zinat-e-mahfil

    wahan ka sadr-e-mahfil koi nadan ho nahin sakta

    wafa kar ke bhi hum hain taKHta-e-mashq-e+sitam-rani

    jafa-karon se apna ahd-o-paiman ho nahin sakta

    dharam ko din ko mazhab ko aapas mein jo Takrae

    wo hindu ho nahin sakta musalman ho nahin sakta

    tere bahr-e-sukun mein ek tufan ki zarurat hai

    taDap paida na ho jab tak wo tufan ho nahin sakta

    uTha laun na jab tak aasman se mah-o-anjum ko

    mere zulmat-kade mein yun charaghan ho nahin sakta

    chaman walo na ho jis KHun mein rang-o-bu-e-azadi

    kaTa kar sar bhi wo KHun-e-shahidan ho nahin sakta

    'nishat'-e-dil-hazin Takraenge ja kar falak se ye

    agar in dard ke nalon ka darman ho nahin sakta

    Source:

    Tasveer-e-Khayal (Pg. 43)

    • Author: Nishat kishtwadi
      • Publisher: Hamara Daur Publications, Delhi
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now