Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak mein uDun panw mein zamin bhi rahe

Ghulam Mustafa Faraz

falak mein uDun panw mein zamin bhi rahe

Ghulam Mustafa Faraz

MORE BYGhulam Mustafa Faraz

    falak meñ uḌuuñ paañv meñ zamīñ bhī rahe

    zabāñ se haañ bhī kahūñ zehn se nahīñ bhī rahe

    tire sivā bhī kisī aur zamīn thī kyā

    chaman meñ dasht meñ sahrā meñ kahīñ bhī rahe

    mirī ḳhaak sar-e-tūr ham-kalām bhī ho

    mirī ḳhaak meñ aazar panah-guzīñ bhī rahe

    vo jis ke dar pe hai ye kā.enāt sajda-rez

    usī ke dar pe ḳhamīda mirī jabīñ bhī rahe

    nahīñ ye baat to mumkin nahīñ sūrat meñ

    ki lā-makāñ bhī rahe dil meñ aur makīñ bhī rahe

    vo jis lahr pe lahrā.e ālam-e-imkāñ

    usī ko haq hai vahī zer-e-āstīñ bhī rahe

    falak mein uDun panw mein zamin bhi rahe

    zaban se han bhi kahun zehn se nahin bhi rahe

    tere siwa bhi kisi aur ki zamin thi kya

    chaman mein dasht mein sahra mein ya kahin bhi rahe

    meri hi KHak sar-e-tur ham-kalam bhi ho

    meri hi KHak mein aazar panah-guzin bhi rahe

    wo jis ke dar pe hai ye kaenat sajda-rez

    usi ke dar pe KHamida meri jabin bhi rahe

    nahin ye baat to mumkin nahin ki surat mein

    ki la-makan bhi rahe dil mein aur makin bhi rahe

    wo jis ki lahr pe lahrae aalam-e-imkan

    usi ko haq hai wahi zer-e-astin bhi rahe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now